Baahon main Apni Aaj bikhar janay do
Mehki saanso main mujhe utar janay do
Raat tanha or sard mosam hai
Aaj apni saanson main mehak janay do
Shoukh nazrOn ko sharam Aati hai
Thar tharatay labon ko labon se sil janay do
Bikhray huye gaisuu bikhra hua kajal hai
Aaj rooh ko rooh main samaa janay do
Raat thori Armaan dil main zayada hain
Aaj bahOn main hi Apni Raat kat janay do...!
No comments:
Post a Comment