Saturday 26 November 2011

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-badast aate hain aur paa-baarasan jaate hain

jaise tajdeed-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi aa jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain

No comments:

Post a Comment