Salook-e-narawa ka iss liye shikwa nhi krta
K main b to kisi ki bat ki parwa nhi krta
Boht chalaak hon apni larai ap larta hon
Main dil k dukh kabi deewar par likha nhi krta
zameen pairon sy kitni baar he din main nikalti hai
me aisy hadsoon pr dil mgr chota nhi krta
Tera israr sar ankhon pe tujh ko bhool jany ki
Main khoshish kr k dekhoon ga mgr wada nahi krta.
No comments:
Post a Comment