Friday 2 December 2011

Khamosh reh kar pukaarti hai

Khamosh reh kar pukaarti hai
wo aankh kitni shararti hai

hai chaandni sa mizaaj us ka
samanadaron ko ubhaarti hai

main baadlon mein ghira jazeerah
wo mujh mein sawan guzaarti hai

k jaisay main us ko chahta hoon
kuch aisay khud ko sanwaarti hai

khafa ho mujh se to apne andar
wo baarishon ko utaarti hai...!

No comments:

Post a Comment