Wednesday 30 November 2011

Wo Yaad Aaya Ha Youn K Jaag Uthi Hei Yaadein Bhi
Taaza Dard ... Sard Hawa ... Aur November Ki Ye Aakhri Shaam !!!

‎*~* SunO DeceMber...!!!!!*

‎*~* SunO DeceMber...!!!!!*

Bujhey bujhey sey huroOf ley kar

Kuhar mien doObi seyahiyoOn kO


Warq warq pe utaarna hai

Udaas ShaamoOn key PhoOl chun kar



Suno DECEMBER 



Ussey PukaarO 

Ussey BulaaO 



SunO DECEMBER ussey milaa dO



Ab iss sey pehley key saans nikaley

Ab iss sey pehley key saal guzrey



Wohi lakeerein..Wohi sitaara 



Merey hathOon ki lakeeroOn mien Qaid kar dO

Yaa aakhri shabb key aakhri pall



Koi bara ekhtetaam kar do 

Yeh zindagi bi tamaam kar do



Suno DECEMBER...!

Ussey milaa do...!

Suno DECEMBER....! 

Ussey milaa do...!

Sunday 27 November 2011

Zamanay ki nazron se hain dilon k raaz Posheeda

Khuloos-e-dil say RAB janta hai hum Tum say Mohabbat karte hain..

Mera dil to khuli kitab tha

Mera dil to khuli kitab tha
Jisey parna tera khwab tha
Wo sawal jo kabhi puch na paye
Har bab me uska jawab tha
Teri zulaf ka jo bi aseer hoa
Sare rah mangta fakeer hoa
Tera jadu jo ham pe na chal saka
Wo kesa husn o shabab tha
Pal pal ki ham ko khabr rahi
wo phir bhi q bekhabr rahi
Jisey samjaha ishq majazi tha
Wo shakir ik sarab tha

Jab Tera Hukam Mila,Tark Muhabbat Kar Di,


Jab Tera Hukam Mila,Tark Muhabbat Kar Di,
Dil Mgr Is Py Wo Dharka K Qyaamat Kar Di

Maine Socha Tha K Lot Atay Hain Janay Walay,
Tunay Ja Kar To Judaai Meri Qismat Kar Di

Kis Tarha tujh Se Mai Izhaar e Tamanna Karta?
Lafz Soojhay to Ma,ani Ne Bhaghaawat Kar Di

Ab To Dushman k Iraadon Pe b Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Muhabbat Meri Aadat Kar Di…

Kisy dil da dard sunaoun

Kisy dil da dard sunaoun
kisy apna haal btaoun
ma kitny badl zamany
koi IshQ da mehrum na jany
mujhe iSHQ Hogya.....
mujhe iSHQ hogya.....

Saturday 26 November 2011

Gham Me Hasne Walo Ko Kabhi Rulaya Nahi Jata,

Gham Me Hasne Walo Ko Kabhi Rulaya Nahi Jata,
Lehro Se Pani Ko Hataya Nahi Jata,

Hone Wale Ho Jate Hain Khudhi Dil Se Apne,
Kisi Ko Kehkar Apna Banaya Nahi Jata
Aatay Hain khawab0n Mein, khayal0n Mein Musalsal..
Phir HuM Se Ye Kehty Hain k.. Parda-Nasheen Hain.. !!

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain

ab to is tarah meri aankhon mein khaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-badast aate hain aur paa-baarasan jaate hain

jaise tajdeed-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi aa jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain
Ay Muqaddar mujhay Tarsaaye ga Aakhir kab tak…

Ya Meri Baat Samajh ja, ya Mujhay pagal kr de….!
Ishq Ko Faryad Lazim Thi So Woh Ho Chuki
Ab Zara Dil Thaam Kar Faryad Ki Taseer Dekh

♥ ♥ BABA BULLE SHAH ♥ ♥

♥ ♥ BABA BULLE SHAH ♥ ♥
Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.
Andar khvaab vichoda hoya, khabar na paindi teri.
Sunni ban vich lutti saiyaan, chor shaang ne gheri.
Mullah qazi saahnu raah bataavan, dein dharam de pheri.
Eh taan thug ne jagg de jheevar, laavan jaal chuferi.
Karam sharaan de dharam bataavan, sangal paavan pairi,
Zaat mazhab eh ishk na puchhda, ishk shara da vairi.
Nadiyon paar mulak sajan da, lobh lehar ne gheri,
Satgur beddi phaddi khalote, taen kyun layi a deri.
Bulla shah shauh tennu milsi, dil nu deh dileri,
Preetam paas te tolna kisnu, bhulliyon sikhar dupehri.
Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.

Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab,

Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab,
Na Kisi Theekane Ki Talash
Jo Gham Zindagi Ko Maut De De,
Ek Aise Bahane Ki Talash
Na Kisi Apne Ki Aarzoo Ab,
Na Kisi Begaane Ki Talash
Main To Phool Hoon Tanhayion Ka,
Mujhe Bas Virane Ki Talash
Jahan Door Tak Koi Na Ho,
Jahan Hawa Ka Pata Na Ho
Mujhe Door Duniya Se
Aise Hi Aashiyane Ki Talash
Jo Tod De Dil Se Dhadkane,
Jo Chheen Le Jism Se Jaan Ko
Jo Sanson Ko Meri Rok De,
Ab Aise Bahane Ki Talash

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai

qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai

na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai

Gham-e-Hijr Se Na Dil Ko

Gham-e-Hijr Se Na Dil Ko
Kabi Humkinaar Krna
Main Phr Aaonn Ga Palat Kr
Mera Intezar Krna

Mujhe Dar Hy
Mere Anso
Teri Ankh Se Na Jhalkian
Zara Soch Kr
Samajh Kr
Mujhe Sog'waar Krna

Usy Dhond Sb Se Pehle
Jo Mila Nahi Hy Tujh Ko
Ye Sitary Asmaan K
Kabi Phr Shumar Krna

Mere Shehr Ki Fiza Me
Koi Zehr Bhar Gya Hy
Tere Husn Pr Hy Laazim
Usy Khusgawar Krna

Mere Bad'Naseeb Waaz
Teri Zindagi Hi Kya Hy
Na Ksi Se Dil Lgana
Na Ksi Se Pyar Krna

Kabi Iqtidar Bakhshy
Jo Khuda Qateel Tujh Ko
Jo Rawish Hy Katilon Ki
Wo Na Ikhtiyar Krna

Dil Hai Ke Ab Wafa Jaanta Nahi,

Dil Hai Ke Ab Wafa Jaanta Nahi,
Mohabbat Ko Ab Pehchaanta Nahi,.
Ye Zindagi, Zindagi Nahi, Maut Lage,
Bharosa Karne Ko Ab Ye Dil Maanta Nahi,.
Haal-e-Dil Kuch Theek Nahi,
To Kya Hua Agar Usko Bhi Ab Koyi Parvaah Nahi,.
Ye Insaan, Insaan Nahi, Jaanwar Lagein,
Dil Ki Baat Batane Ko Ab Ye Dil Maane Nahi,.
Ab To Lagta Hai Tum Chale Jao To Yehi Hoga Munasib,
Hum Akele The Akele Hi Hain Sahi.
Yeh Khushi Bhi Ab Khushi Nahi,
Ghum-e-Tanhaiyo’n Ka Samundar Lage
Ke Dukh Aur Dard Ke Siwa Ab Is Dil Ko Kuch Raas Nahi.

aansu utha lety hain mery ghamon ka bojh ,

aansu utha lety hain mery ghamon ka bojh ,
yeh woh dost hain jo ehsaan jataya nai karty..

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di

Kaghaz pe hum ne zindagi likh di,
Ankhon se seench kar apni har khushi likh di,
Dard jab hum ny utara lafzon may,
Zamanay ny kaha WAH kia ghazal likh di.

Ajeeb shakhs tha har ik say pyar mangta tha,

Ajeeb shakhs tha har ik say pyar mangta tha,
Jahan na dard ho aisa dyar mangta tha,
Jo mangta tha wo dena meri bisaat na thi,
Wo meri rooh ka mujh se qarar mangta tha,
Usay talab thi koi toot kar usay chahay,
Wo hath jor kay ulfat ka izhaar mangta tha,
Mere khaloos pay shayad tha shak usay,
Wafa ki rah mein wo aitbaar mangta tha…

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Meri Rooh Mein Jo Utar Sakein Woh Muhabbatein Mujhe Chaahiyein

Meri Rooh Mein Jo Utar Sakein Woh Muhabbatein Mujhe Chaahiyein
Jo Saraab Hon Na Azaab Ho Woh Rafaqatein Mujhe Chaahiyein
Unn Hi Sa’aton Ki Talaash He Jo Calendaron Se Utar Gayi
Jo Samey Ke Saath Guzar Gayi Wohi Fursatein Mujhe Chaahiyein
Kahin Mil Sakein To Sameit Laa Meri Roz-o-Shab Ki Kahaaniyan
Jo Gubaar-e-Waqt Mein Chup Gayi Woh Hikayatein Mujhe Chaahiyein
Jo Meri Shabon Ke Chiraagh Thay Jo Maei Umeed Ke Baagh Thay
Wohi Log Hain Meri Aarzoo Wohi Suratein Mujhe Chaahiyein
Teri Qurbatein Nahin Chaahiyein Meri Shayari Ke Mizaaj Ko
Mujhe Faaslon Se Dawam Dey Teri Furqatein Mujhe Chaahiyein …

Kaise Kahu Ke Kya Ho TUM

Kaise Kahu Ke Kya Ho TUM

Chalo Mai Batati Hu Kya Ho TUM

Mere Liye Meri Duniya Ho TUM

Choo Ke Jo Guzre Wo Hawa Ho TUM

Maine Jo Maangee, Wo Duaa Ho TUM

Kare Mujhko Jo Roshan Wo Diya Ho TUM

Dil Yeh Kahe Mera Jiya Ho TUM

Kiya Maine Mehsoos Wo Ahsaas Ho TUM

Mere Nazar Ke Talaash Ho TUM

Mere Zameen Ka Asmaan Ho TUM

Mere Chehre Ki Kashish Ho TUM

Mere Sitaron Ke Gardish Ho TUM

Mere Zindagi Ka Qaraar Ho TUM

Maine Jo Chaaha Wo PYAAR Ho TUM

Mere Intezaar Ke Raahat Ho TUM

Mere DIL Ki Chaahat Ho TUM

TUM Ho Tho Yeh Duniya Hai MERI

Kaise Kahu Ke Meri ? JAAAN ? Ho TUM

Kabhi naraz mat hona Gilay chahe bohat karna,

Kabhi naraz mat hona Gilay chahe bohat karna,

Rulana aur bohat larna !

Suno naraz mat hona,

Kabhi aisa jo ho jai,

Keh teri yaad se ghafil,

Kisi lamhay jo ho jaon,

Bina dekhe teri surat,

Kisi sham mein jo so jaon,

To sapno main chaly aana,

Mujhey ehsas dila jana,

SUNO NARAZ MAT HONA,

Kabhi aisa jo ho jaey,

Jinhe kehna zaroori ho,

Wo mujh se lafz kho jaen,

Anaa ko beech mat lana,

mere awaz ban jana,

KABHI NARAZ MAT HONA !!!!!

Mei ye tasleem krta hon,

Mei ye tasleem krta hon,

Mjhy ulfat k rasty pr,

Wafa ki haq prasti pr,

Barda hie naaz hai jana,

Mei jitney khwab bonta hon, …

Mei jitney lafz likhta hon,

Meri tahreer main shamail,

Mery jazbon ki akasi,

Meri khuddari ye hr pal,

Mjhy youn dars deity hei,

Agr tm haar bhi jao,

Tu itna hosla rakhna,

Wafa se rabta rakhna,

Muhbt k safar mei tu,

Wafa hi shart-i-awal hai,

Wafa hi harf-i-aakhir hai

Meri Aankhon Mai Utra Aao,

Meri Aankhon Mai Utra Aao,
Inhe Samundar kr do,

kuch Dair hi sahi Muhabat ki nzr kr do,
Tot k milo k armaan na reh jay koi,

Yun Muhabat k her lamhe ko Amar kr do,
ham pay na aay koi Qayamat sa Waqat,

Bari mushkil hai judai,
isay Mukhtasir kr do,

Jin k noor se mil jay benai Humain bhi,
Apne khawabon ko Meri Aankhon ki Nzr kr do,

Duniya ki talab nhi mgr ye Hasrat hia hamari,
Apne Bahon mai lo Dunia se bekhbr kr do.!

Yeh Un Dino Ki Baat Hai

Yeh Un Dino Ki Baat Hai

Ek duje pe marte the, hum pyaar ki baatein karte the
Khwaabon mein khoye rehte the, baahon mein soye rehte the

Hum aashiq the deewane the, is duniya se begaane the
Yeh un dinon ki baat hai jab hum paagal paagal phirte the

Kehte the kuch sunte the, hum phool vafa ke chunte the
Kabhi hanste the kabhi rote the, hum yaar judaa jab hote the

Hamein sab kuch achchha lagta tha, afsaana sachcha lagta tha
Yeh un dinon ki baat hai jab hum paagal paagal phirte the

Tanhaai mein jab milte the dil mein halchal si hoti thi
Hum dono jaagte rehte the jab saari duniya soti thi

Jab yaad tumhaari aati thi chaahat ke nagme gaate the
Bechain deewani dhadkan ko behlaate the samjhaate the

Yeh un dinon ki baat hai jab hum paagal paagal phirte the
Ek duje pe marte the, hum pyaar ki baatein karte the

‎gulwish hina

Kuch bhi nahi


Kuch bhi nahi
Jab darmiyan
Phir kyun hai dil
Tere hi khwaab bunta
Chaha ki de
Tujhko bhula
Par yeh bhi mumkin
Ho na sakaa..
Kya hai yeh maamla
Janu naa
Main janu naa..
Dil.. sambhal ja zara
Phir mohabbat


Karne chala hai t
u

‎"""""" Farhat Abbas Shah """""""


Sard Saa Hath Milane Waala
Tu Wohi Hai Na Zmane Waala,

Tum Mujhe Yaad Rakhegi Kaise
Jab Khuda Bhi Ho Bhulane Waala,

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai
Hai Koi Haath Bataane Waala,

Raat Aage Na Jaane Waali
Hijar Bhi Shor Machaane Waala,

Jaane Ab Shaher Rahe Yaa Na Rahe
Main To Ek Shaks Hoon Hoon Jaane Waala,

Shayad Ek Gham Hi Faqat Hota Hai
Umar Bhar Sath Nibhaane Waala,

Ab Zamana Hi Nahi Hai "Farhat"
Deep Se Deep Jalaane Waala.

Jab Hum Ho Tanha To Sath Dena,



Jab Hum Ho Tanha To Sath Dena,


Roye Aankhen Hamari To Aansu Ponch Dena,


Kyonki Jab Tak Zinda Hai Tab Tak Hi Aapko Satayege,


Wada Hai Marne Ke Baad To Yaad Bhi Nahi Aayenge..!!

Very best lines said abt a Relation

Very best lines said abt a Relation ->

"The Weakest Part Of A Relation Comes When One Of The Person Has To Give Explanation To Prove The Trust.."

Sunday 20 November 2011

Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain

Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain
sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain

unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain

zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain

hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain

qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain

munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain

hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain

chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.

um ne yaad kiya bhoat usay bhulany k bad,

um ne yaad kiya bhoat usay bhulany k bad,

wo phir rooth gaya hum se manany k bad,

us k dil mein thi adawat Humare liye,

Hum to khush thy Ussay apnany k bad,

pehly to karta tha buhat pyar ki batein,

Phir rolaya b bohut us ne Hume hansany k baad,

mohabat karta tha wo Hum se waqat guzari k liye,

apna liya kisi aur ko us ne Hume thukrany k bad,

koi kisi ka nahi banta is duniya mein “mAhI”

darakht bhi gira dete hain pattay sookh jaane k bad..

Chalo muhabbat ki nai bunyad rakhte hain


Chalo muhabbat ki nai bunyad rakhte hain
Khud paband rehte hain use azaad rakhte hain,

Muhabbat main kahin hum se gustakhi na ho jae
Hum apna har qadam us k qadam k bad rakhte hain.....

Ab jo bikhery to bikherny ki shikayat kesi?

Ab jo bikhery to bikherny ki shikayat kesi?
Khushk patton ki hawao se rafaqt kesi?

Mai ne her dor me insaan se mohbat ki he
Jurm sangeen hy ub is me riayat kesi?

Aik patta b agr shakh se juda hota he
Kia kahon dil pe guzarti he qyamat kesi?

Zindagi tujhko to lamhon ka safar kehty thy
Raah me aa gai sadiyon ki musafat kesi???

”Usy Apni Zid Ki Fikr Thi”.

”Usy Apni Zid Ki Fikr Thi”.
.”Mujhy Apni Anaa Ka Khayal Tha”.

..”Na Mil Sky Hum Phir Kabi”..
..”Wo Hamri “MOHABATON” Ka Zawaal Tha”..

..”Mere Liye Uska Saath Hi Sab Kuch Tha”..
..”Uss K Liye Yeh Sab Mazak Tha”

..”Usy Manzilo Ki Fikr Thi”
“Or Yahan Meri Zindagi Ka Sawaal Tha.

tawil zindagi ,khamosh raston ki tarhan

tawil zindagi ,khamosh raston ki tarhan
tera mizaj badalti hui ruton ki tarhan
hazar rang hain chahat k roop lakhon hain
meri wafa hai muqadas ibadaton ki tarhan
teri nigah mein chaya shakok ka kehra
hamaray qurb mein hayil hai fasilon ki tarhan
tha is mein akhs tumhara hi ye bhi socha nhi
hamaray dil ko jo tora hai aainoo ki tarhan
wo shakhs mjh ko mila bhi to itafaqan tha
rah e hayat mein guzra jo hadison ki tarhan

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha,

Sahil Udas Tha K Samdar Udaas Tha,

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha,

Loti Falak Se To Bari Dilgeer Thi Dua,

Ek Khuwab Totnay Par Muqaddar Udaas Tha,

Phir Chand Ko Laga Kar Galay Ro Pari Ghtta,

Aisa Laga Tufan Bhi Falak Par Udaas Tha,

Meri Tabahiyon Par Usay Bhi Malal Tha,

Aaina Khud Ka Tor K Pathar Udaas Tha,

Jo Shakhs Shehar Main Sab Hi Ko Hansi Bantta Raha,

Ye Dil Usi Ki Bazam Main Ja Kar Udaas Tha...!__

Is qadar qeemti to na tha mera chain-o-sukoon.

Is qadar qeemti to na tha mera chain-o-sukoon.
Loot kar le gaya wo kisi anmol khazane ki tarah…!

Ishq Hai Apne Asulon Pay Azal say Qaim.

Ishq Hai Apne Asulon Pay Azal say Qaim.!!

Imtehan Jeska Bhi Leeta Hai Ria'yat Nahi karta...

Mere Qurb Se Mere Wajood Tak

Mere Qurb Se Mere Wajood Tak
, =Usy Ikhtilaf To Sada Ka Tha,
,=Mere Ghum Se Mere Junoon Tak,
,=Ye Faasla Bas Ana Ka Tha
, =Meri Zindagi Se Meri Saans Tak
, =Wo Falsafa Bas Dua Ka Tha
, =Meri Baat Se Tere Zikar Tak
, =Koi Silsila Jo Hawa Ka Tha
, =Meri Haqiqat Se Mere Khuwab Tak
, =Wo Be-Khabar Inteha Ka Tha
. =Mere Veham Se Mere Gumaan Tak
, =Ye Marhala Wafa Ka Tha
, =Meri Talab Se Mere Naseeb Tak
, =Ye Maamla Khuda Ka Tha...!!!

Friday 18 November 2011

Mohabbat rait jaisi thi,

Mohabbat rait jaisi thi,

Mujhe ye ghalat fehmi thi,
Kya mohabbat dhair saari thi,
Donon hathon main bhar kar,
Tamaan umar sanbhalun ga,
kabhi khonay nahi donga,
Mohabbat khonay kya darr se…
Muttiyan bheench lein maine,
Magar jab muttiyan kholein,
To donon hath khali thay,
kyun kya Mohabbat rait jaisi thi.

Baahon main Apni Aaj bikhar janay do

Baahon main Apni Aaj bikhar janay do
Mehki saanso main mujhe utar janay do
Raat tanha or sard mosam hai

Aaj apni saanson main mehak janay do
Shoukh nazrOn ko sharam Aati hai

Thar tharatay labon ko labon se sil janay do
Bikhray huye gaisuu bikhra hua kajal hai

Aaj rooh ko rooh main samaa janay do
Raat thori Armaan dil main zayada hain
Aaj bahOn main hi Apni Raat kat janay do...!

Mashgala Ab Hey Mera Chand Ko Taktey Rehna

Jab Tasawer Mera Chupkey Sey Tujhey Cho Aaye
Apni Har Sans Sey Mujh Ko Teri Khusboo Aaye

Mashgala Ab Hey Mera Chand Ko Taktey Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehloo Aaye

Jab Gardish-e-Dowran Ney Sataia Mujh Ko
Meri Janib Tery Phealey Howey Bazoo Aaye

Jab Bhi Socha Keh Shab Hijar Na Ho Gi Rooshan
Mujh Ko Samjhaney Teri Yad Ke Jugnoo Aaye

Kitna Hasas Meri Aas Ka Sanata Hey
Keh Khamoshi Bhi Jahan Bandh K Ghongaroo Aaye

Mujh Sey Milney Ko Sar-e-Shaam Koi Saya Sa
Terey Aangan Sey Chaley Aur Lab-e-Joo Aaye

Us Ke Lehjey Ka Aasar To Hey Bari Baat Qateel
Wo To Aankhon Sey Bhi Kerta Howa Jadoo Aaye

Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne

Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne
Ab Guzare Ga Mere Saath Zamane Kitne

Jis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha Hai
Sochte Honge Yehi Baat Na Jane Kitne

Tum Naya ZaKham Lagao Tumhein Is Se Kia Hai
Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne

Two things decide Ur attitude..




Two things decide Ur attitude..

*what you think of yourself when you don"t have anything &

*what you think of others, when you have everything

“Maana k hm izhaar nhi krtey”

“Maana k hm izhaar nhi krtey”

“Matlab ye nhi k Aap ka khyaal nhi krtey”

“Udaasi main “BEET” jaata hy wo din”

“Jis din hm Aapko “YAAD” nhi krtey..”


Khushiya Itni Ho K Aankhon Me Ansu Jam Jaye
Lamhe Ho Itne Hasi K Waqt B Tham Jaye
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha
K Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye

Fer ki hoyeya

Fer ki hoyeya je tu hatha te mehndi la layi
Hun assi vi Sehra sajavange,
saanu pata si ki tu saadi kismat ch nahi,
hun teri choti bhen fasavange!!!



Wednesday 16 November 2011

Meri Tanhai ka mujhe gila nahi,



Meri Tanhai ka mujhe gila nahi,


kya hua jab koi mujhe mila nahi,


phir bhi dua karenge aapke liye,


aap ko wo sab mile,


jo hame mila nahi.♥♥

Zabt kerna na kabhi zabt mai wehshat kerna







Zabt kerna na kabhi zabt mai wehshat kerna
Itna aasaan bhi nahee tujh se muhabbat kerna
Tujh se kehne ki koi baat na kerna tujh sey
Ganj-e-tanhaaii mai bas khud ko alamat kernaa
Ik bagooley ki tarah dhoondhte phirna tujh ko
Ro baroo ho to na shikwa na shikayet kernaa
Hum gadayaan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn
Umr bhar kaar nadamat pe nadamat kerna
Ai aseer-e-qafas-e-seher ana dekh aa ker
Kitna mushkil hai tere sheher se hijrat kerna
Kaam aisa koi mushkil to nahee hai Khavar
Magar ik dast-e-hina rang pe beiyet kerna

mujhe hai ek gila tumse



mujhe hai ek gila tumse


shikayat bhi hai shikwah bhi





mujhe kyu yaad aate ho


kyu mujh ko yu satate ho

mujhe kyu tum tarsate ho
tarsake kyu rulate ho

ye duri kyu majburi kyu
zindagi yu adhoori kyu

kyu mujh ko bhool jaate ho
rulake muskurate ho

ye kaisi teri chahat hai
ye akhir kaisi muhabbat hai

jijhak kyu hai hichak kyu hai
sisak kyu hai kasak kyu hai

mujhe tumse shikayat hai
yehi meri shikayat hai

Friday 11 November 2011

Mohabbat phir mohabat hai



Mohabbat phir mohabat hai?


Kabhi dil se nhi jaati,


Hazaron rang hain is k,


Ajab hi dhang hain is k,


Kabhi sehra, kabhi darya,


Kabhi jugnu, kabhi aansu,


Hazaron roop rakhti hai,Badan jhulsa k jo rakh day,Kabhi wo dhoop rakhti hai,Kabhi ban ker ye ek jugnu,Shab-e-gham k andheron mein,Dilon ko aas deti hai,Kabih manzil kinaarey per,Piyasa maar deti hai,Azziyat hi azziyat hai,Magar ye bhi haqiqat hai,Mohabat phir mohabat hai,Kabhi dil se nhi jaati

Mohabat khud batati hai



Mohabat khud batati hai

Kahan kiska thikana haiKisay aankhon main rakhna haiKisay dil main basana haiReha karma hai kisko aurKisay zanjeer karma haiMitana hai kisay dil sayKisay tehreer karma haiIssay malom hota haiSafar dushwar kitna haiKisi ki chasm-e-girya mainChupa iqrar kitna haiShajar jo girnay wala haiWo saya daar kitna haiMohabbat khud batati haiKahan kiska thikana hai..!

Choor Diya



Choor Diya "AITBAAR" Karna "KISMAT" Ke "LAKEERO" Pai.....


Jo Dil Main Bus "JAYAIN" Wo "LAKEERO" Main Nahi Hote,,,,,,,,,

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho.....Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . .
Hamari Be Zindgi Khushyon Se Labraiz Thi...

Aray Ik Dil Kya Toota K Jeenay Ki Tmana Hi Mit Gai....

Dunya se Kuch Alag hai mere Dil ke Mashghale,

Kanto ko Choomta hu k Pholo ka Dil Jale

I never reject any body in my life



I never reject any body in my life





Because?








Zabt kerna na kabhi zabt mai wehshat kerna 
Itna aasaan bhi nahee tujh se muhabbat kerna 
Tujh se kehne ki koi baat na kerna tujh sey 
Ganj-e-tanhaaii mai bas khud ko alamat kernaa 
Ik bagooley ki tarah dhoondhte phirna tujh ko 
Ro baroo ho to na shikwa na shikayet kernaa 
Hum gadayaan-e-wafa jaante hain ai dar-e-husn 
Umr bhar kaar nadamat pe nadamat kerna 
Ai aseer-e-qafas-e-seher ana dekh aa ker 
Kitna mushkil hai tere sheher se hijrat kerna 
Kaam aisa koi mushkil to nahee hai Khavar 
Magar ik dast-e-hina rang pe beiyet kerna 



Good person give me happiness





And....






Bad person give me experience.

Wo muhabat b teri thi,

Wo muhabat b teri thi,

Wo nafrat b teri thi,

Wo apnane or thukarane ki ada b teri thi,

Me apni wafa ka insaaf kis se mangta,

Wo sheher b tera tha,

Wo adalat bhi teri thi.

Bewaja Nahi

"Bewaja Nahi Rota Ishq Mein Koi"

"Jisay Khood Se Barh Ke CHAHO

Wo RULATA Zaroor Hai."" :'((