ye jo sine-e-droo'n zinda hun
koi umeed c baki hai kw zinda hun
sheher ka sheher tamashai bana betha hai
ur main bann k tamasha-e-junoo'n zinda hun
meri dharkan ki gawahi to mere haq main nahi
ak aesas sa rehta hai kw zinda hun
kiya batauon tujhy asbab jiyey janay k
mujh ko khod b nahi maloom kw zinda hun
apny honay ki khabar kis ko sunaon sagar
koi zinda ho to us sy kahon main zinda hun....!!
No comments:
Post a Comment